sitam par ek sitam ijad rakhna sitamgar hashr ki buniyaad rakhna jahan tak ho sake barbaad rakhna magar ek baat meri yaad rakhna nazar ki dil pe hi uftad rakhna mohabbat ka jahan aabaad rakhna tumhaara dur se hi muskurana kabhi tirchhi nazar se dekh jaana mere soe hue arman jagana wahi ek khubsurat sa bahana tum apni sab adaen yaad rakhna mohabbat ka jahan aabaad rakhna zamana dushmani phaila raha hai mohabbat par hamein uksa raha hai hamesha se yahi hota raha hai tumhaara bhi yahi shewa raha hai kabhi shadan kabhi nashad rakhna mohabbat ka jahan aabaad rakhna bahut dekhi hai main ne jag-hansai labon par mere jumbish tak na aai magar tu ne bhi ki hai bewafai duhai hai are zalim duhai tah-e-khanjar rag-e-fariyaad rakhna mohabbat ka jahan aabaad rakhna kahan tak dil-lagi chalti rahegi hamari aap ki chalti rahegi kisi ke be-rukhi chalti rahegi kisi dil par chhuri chalti rahegi rawa itna nahin bedad rakhna mohabbat ka jahan aabaad rakhna