is ek lok gatha ne bachpan ke wo din mujhe phir dilae hain yaad ki jab main kai bar papa ki godi mein baithi badi aankh wale bhayanak bade azhdaha ki katha sun rahi thi jise shahzade ne hi mar dala tha aakhir ye kuchh is tarah lag raha tha ki jaise ye kal hi hua ho bhayankar nazar aane wala bada azhdaha jab idhar shahzade ko khane ko lapka to main ne jhat apna chehra chhupa dala papa ke kandhon ke bich yahi jaan kar mere papa bacha lenge mujh ko agar azhdahe ne yahi faisla kar liya ho ki mera badan shahzade se ziyaada laziz hi to hoga jo ab is qadar apne papa se dur milun azhdaha se ladungi main us se zarur apne papa ki gahri mohabbat ke bal par ki wo azhdaha ab bhi rahta hai tahzib ke mare logon ke bich ki aakhir mere papa ki lok-gathaon ne hi dikhaya hai mujh ko ki achchhaiyon hi ki hoti jit is jahan mein chunanche mujhe jis qadar apne papa pe pakka yaqin hai un ki sab lok-gathaon par bhi hai utna yaqin