jo lamha bhar ko mere dariche mein ruk gaya hai siyah pedon ki nim khwabida tahniyon se ulajh raha hai ek aakhiri ashrafi ki surat jo kisa-e-shab mein rah gaya hai ye mah-e-bismil jo yaad ki hadd-e-akhirin par qadim raaton mein bhi mera ham-nafas raha hai jo sard tarik saaton mein sukut-e-sahra-e-nim-shab mein meri khamoshi ka ham-nawa hai ye chand jo apni chandni ka fusun-e-derina le ke mere dabiz khwabon mein bas gaya hai kahaniyon mein purane qisson mein dastanon mein bolta hai tilism-o-nairang ki zaban mein ye chand jo apni chandni mein udas qarnon ke gham chhupae mere dariche mein dhal raha hai ye chand jis ka qadim ujala mere nafas mein pighal raha hai ye chand mere dil-o-nazar mein hazar sadiyon se jal raha hai ye zard-ru chand khatm-e-shab ka