abhi wo uthegi sone walon pe ek uchatti nigah dalegi bikhre baalon ko kas ke jude mein bandh legi libas ki silwaton ko jhatkegi jaane-pahchane aasanon se badan ko bedar kar ke ghar ke daraaz-qad aaine mein apna sarapa dekhegi muskuraegi balcony se subh dekhegi sar dupatte se dhak ke phir wo azan sunegi nahaegi pak saf ho ke namaz ki kaifiyat mein dubegi der tak apne rab ki hamd-o-sana karegi kitchen mein jaegi mez par nashta lagaegi thoda thoda sa sab ke hisse ka pyar bantegi sab ko rukhsat karegi rishton ke phul de kar meri hatheli pe jate jate alaw rakh degi ghar ki jalti zaruraton ke kasili kadwi rafaqaton ke