nind mithi nind aankhon mein bhari hai dhund mein har chiz dubi ja rahi hai paniyon par jaise bahta ja raha hun sahilon se dur hota ja raha hun dekha an-dekha sa kuchh rang-e-khala hai ek be aawaz aawaz hua hai rishta-e-rang-o-sada se kat gaya hun dhund gahri aur gahri ho gai hai ek purani gunj dil mein gunjti hai dur ki ek shakl ab pas aa rahi hai