apni aaghosh mein le madar-e-fitrat mujh ko hai tere saya-e-daman ki zarurat mujh ko mere jazbaat hain majruh mera dil hai figar gham-e-dauran ki tapish phunk rahi hai dil-e-zar meri man aaj to sine se laga le mujh ko apne aanchal mein zara der chhupa le mujh ko zindagi kya mujhe de be-sar-o-saman khud hai chaaragar kya ho meri laeq-e-darman khud hai us ne jo kuchh bhi diya us ka bada ehsan hai dil magar tu ne jo bakhsha hai bada nadan hai dil ko kyon shishe ki manind banaya tu ne kyon na phir sang-e-hawadis se bachaya tu ne zauq-e-parwaz to bakhsha na par-o-baal diye sher ke sanche mein kyon qalb-o-nazar dhaal diye soz-e-gham kuchh to kare kam ye hawa se kah de aaj to khul ke baras jae hawa se kah de git ga kar mujhe bahlaen ye murghan-e-chaman phul hans hans ke karen dur ye kanton ki chubhan kah nasim-e-sahari se meri hamraaz bane meri monis meri hamdam meri dam-saz bane kah de shabnam se meri ruh ko sairab kare rawish-e-gul se ye kah dil mera shadab kare haram-o-dair ka hail na ye parda dekhun tere aaine mein mabud ka jalwa dekhun