muddat ke baad tum se mila hun to ye khula ye waqt aur fasla dhoka nazar ka tha chehre pe umr bhar ki masafat raqam sahi dil ke liye tamam safar lamha bhar ka tha kaisi ajib saat-e-didar hai ki hum phir yun mile ki jaise kabhi dur hi na the aankhon mein kam-sini ke wo sab khwab jag uthe jin mein nigah o dil kabhi majbur hi na the masum kis qadar thin wo be-nam chahaten bachpan se ham-kanar tha ahd-e-shabab bhi yun aatish-e-badan mein thi shabnam ghuli hui mahtab se ziyaada na tha aaftab bhi phir wo hawa chali ki sabhi kuchh bikhar gaya wo mahfilen wo dost wo gul-rang qahqahe ab raqs-e-gard-baad ki surat hai zindagi ye waqt ka azab kahan tak koi sahe ab tum milin to kitne hi gham hain tumhaare sath patthar ki tarah tum ne gizari hai zindagi kitna lahu jalaya to ye phul muskurae kis kis jatan se tum ne sanwari hai zindagi main ne bhi ek johd-e-musalsal mein kat di wo umr thi jo phul se arman liye hue ab wo junun raha hai na wo mausam-e-bahaar baitha hun apna chaak-e-gireban siye hue ab apne apne khun ki amanat hai aur hum aur in amanaton ki hifazat ke khwab hain aankhon mein koi pyas ho dil mein koi tadap phaile hue ufuq se ufuq tak sarab hain kis ko khabar thi lamha ek aisa bhi aaega mazi tamam phir simat aaega haal mein mahsus ho raha hai ki guzra nahin hai waqt ek lamha bat gaya tha faqat mah o sal main tum bhi wahi ho main bhi wahi waqt bhi wahi han ek bujhi bujhi si chamak chashm-e-nam mein hai ye lamha jis ke sehr mein khoe hue hain hum kitni masarraton ka surur is ke gham mein hai