tum aate ho dur des se dur des se aane walon par har koi hansta hai dil darta hai jab sard hawa ke aanchal mein munh dhanp parinde sote hain jab sham dhale diwaron par kuchh sae gad-mad hote hain kuchh shaklen rang jamati hain ujdi ujdi dahlizon par khamoshi dastak deti hai aur band kiwadon ki tanhai har-su khak udati hai is lamhe koi dil mein karwat leta hai jab waqt ke kahil mathe par namon ki bunden girti hain mitti mein khushbu gholti hain har phul ke dil mein aati rut ka dhadka jagne lagta hai tab dhyan mein jaane kis basti se dhime dhime qadmon ki aawaz sunai deti hai tum aate ho tum aaoge dil darta hai