jangi bewa ka na-mukammal git qaribi dariya mein kuchh sipahiyon ke sath dub gaya ghode lashon ke zakhmon mein daudte daudte gum ho gae sipahi talwar ki dhaar se ludhakte hue maidan-e-jang ke wast mein fath ka lafz zamin par likhne lage maidan-e-jang ghumta hua lashkar ke pairon ke niche se sarak kar hawa ke sath mil kar mulk ki hudud ko wasia karne lag gaya sipah-salar ka gunjta hua rajaz bahut se sipahiyon ke janaze mein tabdil ho gaya sipahiyon ki lashen talwar ke daste par lage pasine se pahle khushk ho kar maidan-e-jang ki numayan qabren ban gain aadmi jaanta hai ki talwar ki dhaar se gardanen to kati ja sakti hain magar wo rajaz qatl nahin kiye ja sakte jinhen shab karne ke liye sipahiyon ne maon ke pistanon se dudh se ziyaada zaban ki tezi ko hasil kiya ziyaada zaban ki tezi ko hasil kiya