magar main khuda se kahunga khuda-wand! meri saza tu kisi aur ko de ki main ne yahan is zamin par sazaen qubulin hain un ki ki jin se mujhe sirf itna talluq raha hai ki main aur wo donon tujh ko khuda mante the! ye sach hai tera aks dekha tha hum ne alag aainon mein magar main khuda se kahunga khuda-wand! ye din qayamat ka din hai ye wo din hai jab tu ne hum sab pe apne ko zahir kiya hai to is waqt mere gunahon se parda utha kar khudawand! tu apni nuraniyon apni tabaniyon ko mulawwis na kar mujhe muaf kar de use muaf kar de ki main aur wo donon tujh ko khuda mante the ye sach hai tera aks dekha tha hum ne alag aainon mein hamein muaf kar de ki hum ne sazaen qubul ki hain ek dusre ki! hamein muaf kar de ki sare gunah sari taqsiren sach sach bataun isi din ki khatir hui thin