wo apne hath mein duniya ki tahziben uthae aaegi aur gir padegi main naqshe ki madad se us ke girne ki khabar dunga samundar be-bizaat hai ugal deta hai nili kashtiyon ko aasman khidki se bahar phenk deta hai jahazon ko sitare dekh kar chalte nahin mitti uda le jaegi un ko so ye wo saaten hain jab nahin chalte sitare aur mitti phail jati hai wo apni aastinen dho ke ghar aaegi aur un ko ujale mein sikhaegi mohabbat ek dhila lafz hai is ke simatne ka so wo to kushtani hai jo nahin nikla safar par aur naqshe ki madad se apne ghar pahuncha main aankhen band kar lunga wo lambi rahdari ke sire par aaegi aur gir padegi main naqshe ki madad se us ke girne ki khabar dunga