main atom-bomb ke dher pe baitha soch raha tha ye raushniyon aur rangon ka sailab-e-rawan ye resham ke lachchhon aisa narm badan ye barf ke gale se is nanhe seb ki nind ye us ki farishton jaisi masumana hansi ye gandum ke danon se nanhe nanhe dant ye kaliyon ki manind tar-o-taza rukhsar ye gesun ki khushbu se na-waqif nak ye cigarette ke dhuen se begana dahan ye mere apne dil si kushada peshani ye subh ki pahli kirnon jaise us ke baal ye sab kuchh us ka apna hai lekin phir bhi ye sab kuchh aakhir kab tak us ka apna hai ye mera apna khun hai mere hathon mein ya meri sahmi sahmi be-khwab aankhon mein ye mustaqbil ka koi bhayanak sapna hai main khud apni hi sochon ke par noch raha tha main atom-bomb ke dher pe baitha soch raha tha