mujhe hasrat hai mera nazm-karda falsafa tum ko samajh aae tumhein ye falsafa bawar karane ke liye mere siwa aflak se ab koi bhi aadam nahin girna tumhaare jism se mujh tak jo duri hai tumhein malum ho ye ek theory hai aadam nam ka dhabba zamin-o-asman ka fasla tai kar ke tum ko sirf itna bolne aaya hun sun lo mujhe aankhon ke har viran sapne ki qasam hai tumhaare jism ki takhliq ke dauran jo mitti bachi thi usi mitti se meri ruh-e-pechida bani hai harim-e-man barahman nam ki unchi pahadi se mohabbat nam ka jharna nikalne tak mujhe shudar samajhna agarche main tumhaari pak mitti se bana hun mujhe taswir karna hina ki ungliyon par phutte rangon se khud mein rang bharna muskurana aur mujh ko soch lena bhul jaana siwae lams main duniya ke har jazbe ki khalis shakl mein tum ko milunga dhundhna tawiz mat karna mujhe apne gale ka hamare bich chhu lene ki aasani nahin hai harim-e-jaan main aisa sahifa hun jo utra hun tumhaare pak sine mein agar tum chahti ho main amar ho jaun to phir mujhe mahsus karna sahili mitti se aadam zat ki takhliq hone tak