ujale ki lakir

ek nai subh-e-darakhshan ka rupahla aanchal
apne hamrah liye azm-e-jawan ki tanwir

saqi-e-waqt ke rukhsar pe lahraya hai
ye hai tarik fazaon mein ujale ki lakir

raste par kai khurshid nae jal utthe
raushni dekhiye ta-hadd-e-nazar phail gai

aasmanon ko zaminon ko nae rang mile
aur faza nikhat-o-ranai se mamur hui

har nafas apna umangon ki hai tafsir nai
aaj har sans se be-bak irade hain ayan

ab ke tazin-e-chaman hogi lahu ki surkhi
fasl-e-gul ab ke nae jalwe bikheregi yahan

dosto ham-nafaso jidd-o-jahd tez karo
be-nawaon ke liye tarz-e-fughan ban jao

phir se qindil wafaon ki jalao hamdam
aaj ehsas ke aainon ko phir chamkao

waqt ki gard chhategi to ba-unwan-e-sahar
manzil-e-shauq ki rahon ka tayyun hoga

ek nae daur ki tamir karenge hum sab
chand taron se saja apna nasheman hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close