suno musafir ye dil sahifa sahi magar is pe chahaton ki koi kahani raqam na hogi ki chahaton ki har ek kahani udas aankhon se jhankti hai udas chehron pe hi raqam hai so meri mano to dil sahife ko guzre waqton ki dastanon se hi sajao ye dil ki zarkhez jo zamin hai tum us pe khushiyon ke rang kadho use gulabon se hi sajao suno musafir mohabbaton ka ye tur-e-sina bhatakte rahne ka rasta hai bahut bulandi pe jaane walon ko manzilon ki khabar nahin hai kai musafir bhatak chuke hain ki un ko raste jhatak chuke hain har ek musafir ke raste mein na koi jannat na koi dozakh agar mila bhi kisi ko kuchh to mila hai bas hijr ka hi barzakh han kuchh musafir jo tur-e-sina ki ishq-manzil pe ja ke thahre unhen bhi mayusiyan mili thin unhen tajalli nahin mili thi koi tasalli nahin mili thi so wo mohabbat ki aayaton ke baghair laute inayaton ke baghair laute so ai musafir meri jo mano to laut aao ye dil sahifa sahi magar us pe chahaton ki koi kahani raqam na hogi