bala ki pyas us ki aankh mein hai hijaz ki sarzamin pe is sal is qadar barishen hui hain ki khushk talab khun-e-nahaq se bhar gae hain lahu ki pyas us ki aankh mein hai nafas mein barud jis ki qatil sada ka shoala qadam qadam tahniyat ke raste rawan hua to wo nakhl jis ki jaden zaminon ke dard mein thin jhuka kuchh aise ki jaise haal-e-rukua mein ho udas tair jo shakh par the jo gumbadon ki panah mein the jo jaliyon ke tawaf mein the dare hue aasman-e-hijrat ki tahniyon se nasheb mein us zamin-e-maqtal ko dekhte hain jahan wo nakhl is tarah gira hai ki jaise haal-e-sujud mein ho ek aur talab taza barish se bhar gaya hai