dida-e-aflak ne dekhe bahut inqilab ahd-e-kuhan ke nishan mahw hue misl-e-khwab ek fareb-e-nazar wahm-e-sukun-o-sabaat zist hai ek mustaqil kashmakash-e-iztirab jin ki nigahon se thi shorish-e-bazm-e-jahan maut ki aaghosh mein aaj hain wo mahw-e-khwab jin ki bulandi se thi rifat-e-gardun khajil hain wo rawaq-e-buland aaj tabah-o-kharab waqt ke har naqsh ka maut hi anjam hai hain isi qanun mein jakde hue shaikh-o-shab maut ke be-rahm hath chhin liya tu ne aah kitne saron ka uruj kitne dilon ka sabaat nesh-e-ajal se magar un ko nahin kuchh gazand ishq ki lazzat se hain jin ke jigar kaamyab jin ki nigahon mein hai ishq ka sirr-e-nihan ishq hai asl-e-kamal ishq hai ain-e-sabaat kya hai ajal parda-e-hasti ke uthne ka nam ishq utha deta hai pahle hi se ye hijab maut se hoti hai dur ruh ki aaludgi ishq se pati hai ruh aur siwa aab-o-tab maut mila deti hai zarre ko khurshid se ishq bana deta hai zarra hi ko aaftab un ke liye maut ek hosh ka paigham hai zindagi mustaar jin ki hai manind-e-khwab ruh agar pahle hi ishq se bedar ho be-asar us ke liye maut ho ya inqilab