wo ek mazdur ladki hai bahut aasan hai mere liye us ko mana lena zara aarasta ho lun mera aaina kahta hai kisi sab se bade but-saz ka shahkar hun goya main shahron ke tabassum-pash nazzaron ka pala hun main parwarda hun baron qahwa-khanon ki fazaon ka main jab shahron ki rangin titliyon ko chhed leta hun main jab aarasta khalwat-kadon ki mez par ja kar sharabon se bhi khush-rang phulon ko apna hi leta hun to phir ek ganw ki pali hui masum si ladki mere bas mein na aaegi bhala ye kaise mumkin hai? aur phir aise mein jab main chahta hun pyar karta hun zara baitho main dariya ke kinare dhan ke kheton mein ho aaun yahi mausam hai jab dharti se hum roti ugate hain tumhein taklif to hogi hamare jhonpadon mein chaarpai bhi nahin hoti nahin main ruk gai to dhan tak pani na aaega hamare ganw mein barsat hi to ek mausam hai ki jab hum sal bhar ke waste kuchh kaam karte hain idhar baitho parai ladkiyon ko is tarah dekha nahin karte ye lipstick ye powder aur ye scarf kya hoga mujhe kheton mein mazduri se fursat hi nahin milti mere honton pe ghanton bund pani ki nahin padti mere chehre mere bazu pe lu aur dhup rahti hai gale mein sirf pital ka ye chandan haar kafi hai hawa mein dilkashi hai aur faza sona lutati hai mujhe un se aqidat hai yahi meri mataa meri nemat hai bahut mamnun hun lekin huzur aap apne tohfe shahr ki pariyon mein le jaen