rawan hun main aur is rawani mein ahd-dar-ahd ki jarahat-numa basarat ki khak ka wo bhanwar hai jis mein mere shab-o-roz ka ghubar-e-siyah mere sang ghumta hai rawan hun main aur khud pe aur sab pe hans raha hun ki meri manind hum sabhi waqt ki khadi cycle ka gardish-pazir pahiya hain na-masafat-e-nau ru-gardan ki na-rasai ke khisht-khanon ki chimniyon se nikalne wale huruf-e-paspa ke sab dhuen sarf-e-raegan hain ye mehwar-e-khak kya hai kis gardish-e-muallaq ka istiara hai hum kahan hain main hans raha hun safed-mu sir pe kuhl-umri ki barf rakkhe ki aaj main apne ahd ka aur shahr ka wo zamir bhi hun jo aaj aur kal ke mod par hai jo dekhta aur sochta hai ki hum buzurgan-e-sahab-e-ikhtiyar ki umr-khurda danish khade safar ke asir waqton ki kaisi zanjir ban gai hai ki jo hamari siyah-shab khak se lipat kar sabhi ki taqdir ban gai hai jo aaj se milne wale kal ki har ek saat pe halqa halqa utar rahi hai jo sochta hai ki hum buzurgan-e-sahab-e-ikhtiyar ki aankh khud se kat kar hamari nauha-gari ki aarasta shabihon ko kal ke imkan ke nashron ko kab padegi jo sochta hai ki ye salasil ki raat lambi hai aur na jaane tulu-e-subh-e-najat kab ho ki hum buzurgan-e-sahab-e-ikhtiyar ke faisle ki saat hamare khwabon ke sath kab ho