suraj duba kahan gaya wo sara din ye chand kahan tha nind mein dube band aankhon mein khwab kidhar se aate hain baghon mein ye rangon ke sailab kidhar se aate hain bulbul aise pyare naghme kis se sikh ke aati hai sabza kaise ji uthta hai titli kyun mar jati hai lakhon tan ye loha kaise aasman mein udta hai bijli kaise jal uthti hai pankha kaise chalta hai baadal kaise ban jate hain barish kaise hoti hai din hota hai ek jagah to raat kahin pe hoti hai soch soch ke thak gae hum to in baaton ka matlab aakhir kaun hamein samjhaega itne sare in raazon se parda kaun uthaega pyare bachchon mat ghabrao aur zara nazdik aa jao baat hamari ghaur se sun lo is nukte ko khub samajh lo ilm hi aisa rasta hai jo manzil tak le jaega har mushkil aasan karega har gutthi suljhaega