june ki garmi kadakti dhup lu chalti hui har ghadi mazdur ke sar se qaza talti hui sar pe gare ki kadhai aur diwar-e-buland hanpta wo chadh raha hai le ke himmat ki kamand pad par pahuncha to ek gali suni meamar se ji mein aaya sar ko takra de usi diwar se hae us mazlum ki majburiyan na-chaariyan jaan ka aazar hain iflas ki bimariyan dil mein kahta hai ki ye meamar bhi mazdur hai phir yahi jaan-e-hazin kyun is qadar maqhur hai us ki ujrat mujh se duguni hai magar kam hai shuur tamkanat kis baat par kis chiz par itna ghurur main agar nadar hun ye bhi nahin sarmaya-dar bhut wo hai kis badai ka jo us par hai sawar int gara main na dun us ko to ye kis kaam ka asl mein meamar main hun ye faqat hai nam ka meri himmat kah rahin hain kakh-e-diwan-e-buland aah is par bhi main duniya mein hun itna mustamand lag gaya phir kaam mein ye soch kar wo bad-nasib ai khuda duniya mein itna bhi na ho koi gharib din dhala jis waqt malik bhi makan ka aa gaya ek sukut-e-marg sa diwar-o-dar par chha gaya kanpta rahta hai har mazdur jis ke nam se sab usi dhun mein the wo khush ho hamare kaam se us ki peshani pe lekin bal zara aane lage phan utha kar tamkanat ke sanp lahrane lage sab se pahle us ne gali di usi meamar ko apni milkiyyat jo samjha tha har ek diwar ko josh-e-nakhwat se kaha us ne ki ai paji lain kal jahan tak thi gai diwar ab bhi hai wahin kya kiya hai tu ne din-bhar mein zara mujh ko bata yun takabbur mein wo aa kar jaeza lene laga dil mein wo mazdur phir kahne laga uf re ghazab jo bhi is duniya mein hain firaun hain wo sab ke sab jis ka jis par bas chale pamal karta hai use khud agar khush-haal hai bad-haal karta hai use kya kahun sarmaya-daron ke sitam ki dastan dida-e-mazdur hai mazdur se bhi khunfishan jis ki lathi us ki bhains is misl ko sadiq samajh ye samajh kar is khuda-e-pak ko raaziq samajh