phuti lab-e-nazuk se wo ek shokh si lali thodi si shafaq aariz-e-taban ne chura li phir baam ki jaanib uthe abru-e-hilali aur chand ne sharma ke kaha eid-mubarak chheda wo hasin shab ne tamannaon ka jadu lahra gai khalwat-kada-e-naz mein khushbu haule se sanwarne lage ehsas ke gesu di kis ne dar-e-dil pe sada eid-mubarak jhalka rukh-e-raushan pe hasin subh ka partaw gulnar hatheli pe hina dene lagi lau zulfon se chali nikhat-e-warafta ki ek rau paigham liye aai saba eid-mubarak sakhiyon ne khayalon ke hasin rang ubhaare jage kai khwabida se jazbaat ke dhaare phute wo nigahon se tabassum ke phuware mahaul hua naghma-nawa eid-mubarak sadqe tere ai ruh-e-ada paik-e-latafat khush aae tere husn ko ye kaif ki saat ye tohfa-e-ashaar hai nazran-e-ulfat ai jaan-e-haya jaan-e-wafa eid-mubarak