hum aurten ek dusre ki dushman hain magar sab nahin tum hum sab se mohabbat karte ho magar hamesha nahin mausam kis qadar jald bit jate hain aur mohabbaten us se bhi jald ab ye bhi guzre zamane ki baat hai jab mere chehre ki rangat aur tumhaari aankhon ke rang ke darmiyan ek be-nam rishta tha aur mera sarapa pas-e-manzar ko madum kar deta tha fasle ne mujhe manzar-name ke ek nuqta-e-mahz mein tabdil kar diya hai aur tum mujhe khanon mein taqsim karna sikh rahe ho aah mere baghon ke ber surkh hain aur zard zaiqon ki justuju tumhaare halaq ko khatta kar rahi hai