main tumhaare liye thahrunga ki shayad aao aur jab donon pahar milte hon hum bhi aapas mein milen jaise ek roz mila karte the din ke hangame bujhe jate hain sard hone lagi dhalti hui sham kashtiyan aa ke kinare se lagin jhil leti hui mahw-e-aram ped din bhar ki thakan se bojhal qurb sarma ki hawa sust-khiram dil mera bar-ha aaya hai yahan chal ke us raste se jo un ke gole ki tarah mere qadmon mein khula jata tha phir mukhil hote hue patton ki sargoshi mein ek aawaz ne rah rah ke bulaya tha mujhe waqt ka hath tahoke se diye jata hai yun hi chalte raho pichhe ki taraf mat dekho raat aa jaegi so jaoge aur jo gunj utha karti hai dur viranon mein kho jaegi