teri surmai aankh se bahne wala siyah ashk jis ne malal odh kar teri takmil ki main ne jo bhi kiya apne andar ka wahshi jaga kar tere samne sar-ba-zanu kiya ya udasi ke jabde se chhini hui ranj ki is ghazabnak khurak se tera dozakh bhara teri takmil ki ab mujhe bhi aziyyat ki babat mein koi sitara badan chahiye apne andar ke shor-o-shaghab se nikal kar meri baat sun shakh-e-ummid par koi kanta khila mujh ko wapas bula