kitni pyari zaban hai urdu mere bhaarat ki shan hai urdu mulk mein an-ginat hain bhashaen sab zabanon ki jaan hai urdu is mein wusat hai is mein gahrai kitna uncha maqam urdu ka sari duniya ke lafz hain is mein jaise lashkar hai nam urdu ka is ko pala amir khusraw ne is ne bhaarat mein aankh kholi hai meri urdu nahin hai bahar ki ye bhi bhaarat ki ek boli hai ek wali ne ise sanbhaala hai hai dakkan pasban urdu ka is ke markaz the lucknow dehli ab hai sara jahan urdu ka mir-o-ghaalib hue hain urdu ke aur nasim-o-firaq shaidai zauq-o-momin ne bhi sanwara hai sari qaumon ne ki pazirai 'sauda' 'nasikh' 'amir' aur 'insha' 'arzu' 'dard' 'fani' aur 'jalil' 'yas' 'majruh' aur ali 'sardar' 'danish' akhtar adam hafiz-o-shakil dagh iqbaal aur jigar hasrat josh simab kaifi aur majaz khub shair hue hain urdu ke faiz sahir qatil aur faraaz is ko mazhab se wasta hi nahin jis ne chaha usi ki kahlai git gae hain is ke aasha ne aur jagjit ne ghazal gai kuchh kitaben kharid urdu ki apne bachchon ko bhi padhao tum un ki talim ka khayal rakho un ko tahzib bhi sikhao tum anjum bhi jaante hain ki pyari zaban hai urdu hai jis ka nam hamari zaban hai