kitne aadab se maqtal ko sajaya gaya hai phir teri bazm se zindon ko uthaya gaya hai sach kisi jhut ki takhliq nahin kar sakta jaane kya hai jo saliqe se chhupaya gaya hai is se badh kar nahin ho sakti fana ki taswir aisi hikmat se khilaune ko banaya gaya hai eid-e-qurban se muqaddas nahin koi taqrib is tarah bhula sabaq yaad dilaya gaya hai is tarah khwab se milti nahin koi tabir jaise sahra mein samundar ko bulaya gaya hai jaane ye kis ne banai hai qayamat ki shabih sirf ilzam musawwir pe lagaya gaya hai aur pukhta hui jannat ki bashaarat 'khurshid' jis tarah mitti mein mitti ko milaya gaya hai