ek bar chal kar dekh len shayad guzishta mausamon ka koi ek dhundla nishan mil jae aur phir se faza shadab ho ujda hua ek khwab ho taswir mein kuchh gard-baad-e-baqiyat-e-mimbar-o-mehrab ho ek bar chal kar dekh len phir band hote shahr ke bazar ko jhanken zara ujdi dukanon mein kulah o jubba o dastar ko ek shahr-e-taza-kar ko kuchh der bhulen aur us ko silwaton mein dhunden ek khoi hui taswir ko taswir mein kuchh baqiyat-e-mimbar-o-mehrab hain kuchh jalwa-ha-e-ahd-e-alam-tab hain wo lash jo kuchli gai wo khwab jo raunde gae wo nam jo bhule gae in silwaton mein dafn kitni barkaton ke raaz hain ek bar chal kar dekh len pahle to shahr aisa na tha