ek khwab-e-hazimat duniya ek aahat dawam khwahish ki ek jodi qadim hathon ki aur aankhon ke band farghul mein ek khwahish hamesha rahne ki ek bistar purani yaadon ka aur soya hua dil-e-wahshi aahani ungliyon ke panje mein ek ghani tirgi ke raste mein zaiqa bhuli-bisri barish ka ek saya jhuka hua dil par der tak aasman se girti hui ek maddham sada darichon mein ek pur-shor sail ki aawaz sans ki silwaten duboti hui kaun tha is samay ke aangan mein jagti raat ko thapakta hua kaun tha raat-din ke phere mein gai duniyaon se ubharta hua ro raha tha dayar-e-ghurbat mein aur madum ke ilaqe mein apni aankhon mein dal kar mitti khwab takta hua main bachpan ke ek hanste hue guzishta mein