ek ludhki hui wadi mein bahut niche khalaon se jahan dhundli fazaon ka chalan hai khasta sa ek makan mujh ko wirasat mein mila hai jis tarah sukh ke zakhmon se gira karti hai papdi us ki diwaron se is tarah se girta hai plastar ek panw pe khade sare sutun thak se gae hain khurda danton ki tarah hilti hain har taq mein inten moch khai hui kuchh khidkiyan tirchhi si khadi hain kanch dhundlae hue chatkhe hue pahle bahar ki taraf khulti thin aflak ki jaanib ab ye andar bhi nahin khultin agar sans ghute abr-alud hain ab aur hawaon mein bhi surakh pade hain mera paidaeshi ghar hai mujhe rahna hai yahin par ek maila sa falak hai to mere sar pe abhi tak darta hun gir na pade sote mein ek roz kahin