aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai aaj ki raat na footpath pe nind aaegi sab utho, main bhi uthun tum bhi utho, tum bhi utho koi khidki isi diwar mein khul jaegi ye zamin tab bhi nigal lene pe aamada thi panw jab tutti shakhon se utare hum ne un makanon ko khabar hai na makinon ko khabar un dinon ki jo guphaon mein guzare hum ne hath dhalte gae sanche mein to thakte kaise naqsh ke baad nae naqsh nikhaare hum ne ki ye diwar buland, aur buland, aur buland baam o dar aur, zara aur sanware hum ne aandhiyan tod liya karti thin shamon ki lawen jad diye is liye bijli ke sitare hum ne ban gaya qasr to pahre pe koi baith gaya so rahe khak pe hum shorish-e-tamir liye apni nas nas mein liye mehnat-e-paiham ki thakan band aankhon mein usi qasr ki taswir liye din pighalta hai usi tarah saron par ab tak raat aankhon mein khatakti hai siyah tir liye aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai aaj ki raat na footpath pe nind aaegi sab utho, main bhi uthun tum bhi utho, tum bhi utho koi khidki isi diwar mein khul jaegi