ek muddat hui dasht-e-awaz mein koi tanha sada khamushi ki nawa main nahin sun saka gosh-e-muflis mere ab tarasne lage hain ki fitrat ki aawaz gham ho gai zindagi apne hangam mein kho gai shorish-e-gosh-o-lab kash ki tham sake tu mujhe khud-kalami ka mauqa mile main takhayyul ki aahat sunun aur takhliq ke an-sune git gane lagun shor-o-ghul ke taffun-zada aise mahaul mein ye faqat khwab hai ab kahan wo khalaon ke jaisa sukut-e-azal wo samundar ki tah ka sukun-e-abad is kharabe mein ab saz-o-awaz ki makhmali doriyan khar-o-khashak hone lagin dard-e-asar hone lagin ek ghutan si fazaon mein paiwast hai daur-e-ijad ki mustaqil gadgadahat samaat ko banjar kiye ja rahi hai khayalat mafluj hone lage hain meri ruh wahshat-zada hai sar-e-arsa-e-khastagi khamushi lapata hai