duniya ko haqiqat ke ujalon se sajaen goshon mein samo den rukh-e-tanwir-e-mohabbat ehsas ke honton pe rakhen saat-e-naghma har aks ko mil jae sarape ki rifaqat andaz bhi fani shab-e-gulnar bhi fani hangama-e-pur-shauq ki dastak bhi nahin hai lab bhul chuke phul khilane ka saliqa is baat mein logon ko koi shak bhi nahin hai jo thokaren khae use nadan kahen sab han pair phisal jae to rahon ki khata kya laghzish to har ek aankh ki taqdir hai shayad manzil ko magar hadsa-e-gham ka pata kya rahon mein bichha di hain khayalat ki palken lamhon ki tarah muntazir-e-did khada hun aankhon mein jalae hue khurshid khada hun wo aane hi wali hai chalo aa hi gai wo barish lab-o-rukhsar pe barsa hi gai wo khushbu ki tarah ruh pe lahra hi gai wo mafhum-e-rifaqat mujhe samjha hi gai wo lekin ye tasawwur ke hasin aks hain shayad jhonke se hawa ke koi patta nahin khadka dastak se dar-e-shauq ki dhadkan kahan chaunki sargoshi se sanson mein kahan itr ghula hai sakit hai abhi tak kahan darwaza khula hai chehre pe numayan koi dhundlai kiran hai mahka na jawan honton pe ashaar ka saya bikhri na koi zulf na raushan huin raaten main so gaya kar ke dil-e-zar se baaten