ek budhiya shab gae dahliz par baithi hui tak rahi hai apne iklaute jawan bachche ki rah so chuka sara mohalla aur gali ke mod par bujh chuka hai lamp bhi sard tariki khadi hai jaise diwar-e-muhib budhi man ke jism ke andar magar jagmagati hain hazaron mishalen aane wala lakh behoshi ki haalat mein ho lekin rasta ghar ka kabhi bhula nahin aur be-ahat sadak jaanti hai kis ke qadmon se abhi mahrum hun