thoda thoda ye jo suhagan rang ikattha dil mein hua hai jaane kitne bhed nichode nind ganwai pyas churai kaun se chor hathon se lut kar aaj ye ghar aabaad kiya hai barson se sondhi mitti ne kaisi hikad jot jagai khushiyon ki bauchhaar jo palti gham ka mukhda dhul sa gaya hai sawan mas khazane upje sar se panw talak haryai kaun yahan meri chhanw mein mujh se munh mode baitha hai rup wahi jaana pahchana ang mein desi hi garmai aaj ki khoti manzil aur bale kaisa kundhan ranj uga hai aas ke sair jiwan soton se phut bahi ghanghor badhai sairabi ke is rele ne luk-chhup kaisi ras rachai hathon baith wo barkha chehra phul surekha khil utha hai ghup rangon ke ghat utarti richh ki ye adhli sarsai dil ki ujli be sarw samani is mein kya kya that chhapa hai jite ji is chahal pahal ki tah tak kab hoti hai rasai