zindagi ne mujhe lakir par chalna sikhaya main ne munharif hona sikh liya us ki andam-e-nahani sanp janne mein masruf rahi aur wo unhen marne mein wo bhi kya karti raat bhar meri jagah izhdiham soya raha apni bekari se tang aa kar main apna uzw nila karne chala aaya aisa karna jurm hai magar kya kya jae ek bhuk mitane ke liye dusri kharidni padti hai adalat ne meri aazadi ke ewaz mere khusiye mang liye logon ne mere mada-e-taulid se diwaron par phul bana liye aur ibaadat ke liye mera uzw inhiraf ne mujhe kabhi qatar nahin banne diya main ne hamesha chiyuntiyon ko gumrah kiya ek din tang aa kar zindagi ne mujhe thuk diya