man

sukun ke phul har ek dil mein man khilati hai
wo ujde ghar ko bhi rashk-e-jinan banati hai

jahan kahin bhi wo rakhti hai apne pak qadam
wahin se khuld ko ek rah sidhi jati hai

khuda bhi us ko giraata hai qar-e-pasti mein
nazar se apni jise pyari man giraati hai

khushi mein man ki jo thandak hai us ka kya kahna
wo qahr-e-rab ko bhi ek aan mein bujhati hai

zaban khulti hai jaise hi nanhe bachche ki
bade hi chah se kalima use padhati hai

jo bachche raat mein ho jate hain kabhi bedar
unhen wo nind ki chadar man udhati hai

wo parwarish hi nahin karti apne bachchon ki
unhen wo sahib-e-kirdar bhi banati hai

zara bhi khulti hai khidki jo man ki yaadon ki
to dil mein khuld se sidhe bahaar aati hai

agar ho chashm-e-tasawwur mein man samai hui
to jitni dur ho utni wo yaad aati hai

mere wajud mein shamil hai man ka bahr-e-karam
meri hayat ki kashti wahi chalati hai

jo man ki khidmat-e-ali mein pesh hota hun
to mamta ke hasin farsh par bithati hai

shafiq man ki main khidmat koi karun na karun
wo mere haq mein duaen kiye hi jati hai

qubuliyat mein koi der bhi nahin lagti
dua jo arsh pe 'maqsud' man ki jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close