zof se aankhon ke niche titliyan phirti hui auj-e-khuddari se dil par bijliyan girti hui lash kandhe par khud apne jazba-e-takrim ki multaji chehre pe lahren si ummid-o-bim ki izzat-e-ajdad ke sar par dama-dam thokaren rishta-e-awaz par lafzon ki paiham thokaren chehra-e-afsurda par thanda pasina sharm ka sust nabzen bhik ka lahje ke andar thikra qarz ki darkhwast ki uljhi hui taqrir mein kapkapi aasab ki bechain dil ki larzishen ek taraf hajat ki shiddat ek taraf ghairat ka josh nutq par harf-e-tamanna dil mein ghusse ka kharosh jumbish-e-mizhgan ke zer-e-saya nadari ki raat jauhar-e-insaniyat jode hue aankhon mein hat sans dahshat se zamin ki aasman roke hue muflisi mardana lahje ki inan roke hue lab pe khushki rukh pe zardi aankh sharmai hui chashm o abru mein khudi ki aag kajlai hui nafas mein sherana tewar aarzu ruba-mizaj ehtiyaj o ehtiyaj o ehtiyaj o ehtiyaj!