hans hans ke chhedne ki wo aadat nahin rahi wo main nahin raha wo masarrat nahin rahi mera shuur khud hi mera pasban hai ab manzil-e-hayat mere darmiyan hai tere liye wo wahshat-e-hosh-azma gai wo arz subh-o-sham ki wo iltija gai be-bakiyon ka teri wo dilkash fusun gaya wo dil bujha wo shauq mita wo junun gaya agli mohabbaton ki wo tahrir mit gai nadaniyon ke daur ki taswir mit gai maddham sa pad gaya hai kuchh ab saz-e-dosti jab se khula hai mujh pe tera raaz-e-dosti wo walwale jo dil mein the khamosh ho gae ek sanehe se mere baja hosh ho gae jo raaz thi nibah ka wo baat bhi gai waraftagi-e-shauq-e-mulaqat bhi gai ab to qadim waza ka ek pas hai mujhe derina dosti ka kuchh ehsas hai mujhe kuchh ye nahin ki dard-e-nihan dur ho gaya main gardish-e-zamana se majbur ho gaya udta hua sa rang rukh-e-rozgar hai yani taghayyuraat pe kya ikhtiyar hai