raat sannata dar-o-baam ke honton pe sukut rahen chup-chap hain patthar ke buton ki manind raushni taqaton mein alsai hui baithi hai nind aankhon ke darichon se lagi baithi hai din ke hangamon ki raunaq ko bujhe der hui chand ko nikle sitaron ko saje der hui ab kisi chashm-e-nigah-dar ka khatra bhi nahin waqt ke hath mein ab sang-e-malamat bhi nahin dil jo machle to koi tokne wala bhi nahin jism pighle to koi dekhne wala bhi nahin ai nigar-e-dil-o-jaan shauq ki bahon mein machal saya saya yunhi aaghosh-e-chaman-zar mein chal din sitam-pesha hai raazon ko ugal deta hai raat masum hai raazon ko chhupa leti hai