main jo soi hun manon ret tale kash tu jaan sake sham dhale meri aankhen teri aahat pe lagi rahti hain mera aanchal meri tarsi hui be-kal hasti meri mamta teri rahon mein bichhi rahti hai main bahut khush hun tujhe dekh ke ai dil ke qarar tere chehre ki chamak aaj bhi tabinda hai tere lahje mein mera aks abhi zinda hai main jo soi hun manon ret tale aaj tu ne jo mujhe phulon ki chadar di hai meri tarsi hui duniya mein bahaar aai hai sham mahki hai moattar si ghata chhai hai kash tu jaan sake ai mere dil ke tukde main jo soi hun manon ret tale tujh pe ab qarz hai in zakhmon ko sahlane ka meri nakaam umangon ka akela aangan tujh se bahlega nahin aur koi aane ka meri aankhon ke diye meri wafaon ka sahar tujh ko har bar mere pas liye aaega sari duniya tujhe jaanegi mere hone se mera partaw teri hasti mein utar jaega kash tu jaan bhi le ai mere dil ke tukde main jo soi hun manon ret tale