bahut be-rang se din hain tere gulnar galon ke gulabi phul khilte hain na tere phul honton se milan ki shokh baaton ke sunahri rang mein lipti koi titli hi udti hai na din ke zard kaghaz par teri taswir banti hai na shab ki kali chadar par teri aankhen chamakti hain na teri muskurahat ki kiran milne ko aati hai ragon ke sard ghaaron mein udasi jamti jati hai tere gulnar galon ke gulabi phul khilte hain na tere chehre ke pal pal badalte rang milte hain harim-e-zat mein jaanan bahut be-rang se din hain