ai laila-e-jamhuriyat ai dilbar-e-hindostan tujh se farogh-e-shama-e-shab mahfil mein lau ki ibtida ahl-e-wafa ke des mein tarikh-e-nau ki ibtida zulmat-bad-aman khak par suraj ki zau ki ibtida har lab pe teri dastan zulfen teri ambar-fashan ai dilbar-e-hindostan tu apne dast-e-naz mein ek khushnuma parcham liye apne jilau mein nau-ba-nau khushiyon ka ek aalam liye manzil ke rahi ke liye ek rau liye ek rum liye hansti hui gati hui aawaz si deti hui sangit ki har tan mein dars-e-amal deti hui ban kar umangon ka nishan aai hamare darmiyan ai dilbar-e-hindostan ab jagmagati rah hai aur rahrawon ke qafile ab tez hain sab ke qadam ab mit rahe hain fasle ab zindagi hai wajd mein ab jagte hain walwale thak kar koi sota nahin ab ped ke sae tale naghmat-e-azadi ki dhun kitni junun-angez hai ab nashsha-e-mai hai siwa ab saz ki lai tez hai ab ruh ko hasil yahan sad ishrat-e-parwez hai masrur hain pir-o-jawan ai dilbar-e-hindostan teri had-e-shadab mein gang-o-jaman aabaad hain kohsar ke hain silsile dasht-o-daman aabaad hain ahl-e-yaqin aabaad hain arbab-e-fan aabaad hain mahtab aur tare liye nile gagan aabaad hain jannat-nishan kashmir ke rangin chaman aabaad hain jo hain hamari aabru hain jamn ke hum sab pasban ai dilbar-e-hindostan aa hum tere aanchal tale parcham tera uncha karen teri hifazat ke liye saif o qalam yakja karen tujh ko banaen kaamran ai dilbar-e-hindostan mafhum-e-azadi hai kya nur-e-sahar ki justuju kya hai mata-e-hurriyat insan ke dil ki aarzu sad-afrin bar-daur-e-mai aazad hain jam-o-subu aazad hai pael ki dhun aazad hai zulfon ki bu aazad hai soz-e-jigar aazad hai dil ka lahu aazad hai zauq-e-safar aazad hai jine ki khu jae na kyun dil ki lagan mahfil-ba-mahfil ku-ba-ku sad marhaba puri hui wo hasrat-e-kaif-e-numu jis ke sabab barbaad tha sadiyon se apna karwan ai dilbar-e-hindostan tu zulmaton ke sail mein sham-e-farozan ban gai shab-tab ufuq par hind ke nur-e-darakhshan ban gai wadi-e-nikhat-bez mein ju-e-khiraman ban gai khushbu se jis ki chaar su wo zulf-e-jaanan ban gai dil ka sukun aaram-e-jaan ai dilbar-e-hindostan