nahin malum

utha chaman se ye kaisa dhuan nahin malum
bacha ki khak hua aashiyan nahin malum

main ud ke jaun to jaun kahan nahin malum
mujhe to ghonsle ka bhi nishan nahin malum

friday ko to mai-khana band rahta hai
namaz padhta hai pir-e-mughan nahin malum

jigar se phephde se dil se ya ki gurde se
kahan se uthta hai dard-e-nihan nahin malum

main tie bandh ke aawaz bhinch leta hun
hisab to hamein allah miyan nahin malum

adu bhi zinda hai aur main bhi hun ba-qaid-e-hayat
hain aap ke liye girya-kunan nahin malum

wahi to nikle hai leader jo apna leader hai
ki wote dene lagin randiyan nahin malum

bahaar aane se kyon khush hue ye diwane
bahaar hi mein nihan hai khizan nahin malum

hazar lakh bahane banao tum lekin
nazar to bhanp chuke yar khan nahin malum

na aage badhti hai ab tu na pichhe hatti hai
kahan atak gai umr-e-rawan nahin malum

hamari qabr ke takhte chura ke kahte hain
jalao lakdi bahut hai giran nahin malum

'zarif' aap sanbhal kar padha karen ashaar
mushaera mein hain ahl-e-zaban nahin malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close