koi aisa school bhi to khule jahan copiyan aur kitaben na hon diwaron pe likkha ho padhna nahin taraqqi ke zine pe chadhna nahin rah-e-ilm mein aage badhna nahin gale mere ye ilm madhna nahin hamesha rahen khush ki ai chul-bule koi aisa school bhi to khule hamein na sikhao ye ji o t got hamara to ghussa hai h o t hot ki hum tod dalen ye pi o t pot chhidak denge chehre pe hum inkpot pade dagh aisa ki phir na dhule koi aisa school bhi to khule na karni pade yaad ye history na jughrafiya ho aur na chemistry wakalat karenge na barristeri sikha do shararat ki palmistry ki shaitan banne pe hum hain tule koi aisa school bhi to khule bade ho ke bhaalu nachaenge hum akhade mein mugdar ghumaenge hum na padhne ko england jaenge hum tumhin par kabutar udaenge hum jahaalat ke palde mein hum hain tule koi aisa school bhi to khule