patthar ki zaban ki shaera ne ek mahfil-e-sher-o-shaeri mein jab nazm sunate mujh ko dekha kuchh soch ke dil mein muskurai jab mez par hum mile to us ne badh kar mere hath aise thame jaise mujhe khojti ho kab se phir mujh se kaha ki aaj, 'parwin'! jab sher sunate tum ko dekha main khud ko bahut hi yaad aai wo waqt ki jab tumhaari surat main bhi yunhi sher kah rahi thi likhti thi isi tarah ki nazmen par ab to wo sari nazmen ghazlen guzre hue khwab ki hain baaten! main sab ko disown kar chuki hun! patthar ki zaban ki shaera ke chambeli se narm hath thame khushbu ki safir sochti thi dar-pesh hawaon ke safar mein pal pal ki rafiq-e-rah mere andar ki ye sada-lauh 'alice' hairat ki jamil wadiyon se wahshat ke muhib jangalon mein aaegi to us ka phul-lahja kya jab bhi saba-nafas rahega!? wo khud ko disown kar sakegi!?