tajrabe garche ye batate hain waqt be-rahm ek sipahi hai jis ka mazbut o aahani panja dil ka aaina tod deta hai dasht-e-hasti mein aabla-pa ko hama-dam rah-e-gham dikhata hai nau-ba-nau intishaar lata hai zindagi ko dukhi banata hai lekin ai ham-safar thahar to sahi tajrabe ye bhi to batate hain waqt ek narm-dil masiha hai jis ke nazuk hasin phul se hath tute aaine jod dete hain jama-e-tan ke chaak sete hain ungliyan zakhm-e-dil pe rakhte hain ashk aankhon se ponchh dete hain