dur bargad ki ghani chhanw mein khamosh o malul jis jagah raat ke tarik kafan ke niche mazi o haal gunahgar namazi ki tarah apne aamal pe ro lete hain chupke chupke ek viran si masjid ka shikasta sa kalas pas bahti hui naddi ko taka karta hai aur tuti hui diwar pe chandol kabhi git phika sa koi chhed diya karta hai gard-alud charaghon ko hawa ke jhonke roz mitti ki nai tah mein daba jate hain aur jate hue suraj ke widai anfas raushni aa ke darichon ki bujha jate hain hasrat-e-sham-o-sahar baith ke gumbad ke qarib in pareshan duaon ko suna karti hai jo tarasti hi rahin rang-e-asar ki khatir aur tuta hua dil tham liya karti hai ya ababil koi aamad-e-sarma ke qarib us ko maskan ke liye dhund liya karti hai aur mehrab-e-shikasta mein simat kar pahron dastan sard mumalik ki kaha karti hai ek budha gadha diwar ke sae mein kabhi ungh leta hai zara baith ke jate jate ya musafir koi aa jata hai wo bhi dar kar ek lamhe ko thahar jata hai aate aate farsh jarob-kashi kya hai samajhta hi nahin kal-adam ho gaya tasbih ke danon ka nizam taq mein shama ke aansu hain abhi tak baqi ab musalla hai na mimbar na muazzin na imam aa chuke sahab-e-aflak ke paigham o salam koh o dar ab na sunenge wo sada-e-jibrail ab kisi kabe ki shayad na padegi buniyaad kho gai dasht-e-faramoshi mein aawaz-e-khalil chand phiki si hansi hans ke guzar jata hai dal dete hain sitare dhuli chadar apni is nigar-e-dil-e-yazdan ke janaze pe bas ek chashm nam karti hai shabnam yahan aksar apni ek maila sa akela sa fasurda sa diya roz rasha-zada hathon se kaha karta hai tum jalate ho kabhi aa ke bujhate bhi nahin ek jalta hai magar ek bujha karta hai tez naddi ki har ek mauj talatum-bar-dosh chikh uthti hai wahin dur se fani fani kal baha lungi tujhe tod ke sahil ki quyud aur phir gumbad o minar bhi pani pani