agar wo pal mujhe ek bar mil jae to main puchhun ki ye sauda mere sar mein samaya kis liye tu ne ye dard-e-la-dawa dil mein jagaya kis liye tu ne khirad idrak aql-o-fahm sab begar hon jaise farasat dur-bini aagahi bekar hon jaise hawale istiare mashware dushwar hon jaise dalael falsafe mantiq zehn par bar hon jaise basirat hoshiyari ilm sab khamosh taswiren na koi mashwara achchha na danish-mand tadbiren musalsal be-kali diwangi hai khud-faramoshi faqat ek be-khudi aathon pahar pur-kaif mad-hoshi nazar har shakl mein dhunde usi dildar ki surat har ek aawaz jaise sahab-e-awaz ki murat samaat par nazar par soch par aaseb chhaya hai har aahat par tamanna puchhti hai kaun aaya hai