waqt ka mara hua insan raunat ka shikar jis ki mehnat ka natija azmat-e-sarmaya-dar asl mein hindostan ka baadshah lekin ghulam zindagi ki dusri manzil mein hai garm-e-khiram phir raha hai chilchilati dhup mein diwana-war baal-bachchon ka tasawwur kar raha hai be-qarar khun pani ek kar ke dam jab milte nahin hath phaila kar bhi kya dega koi nan-e-jawin ibtida hai tisre faqe ki ghar mein kuchh nahin soch kar kuchh ghar ki jaanib chal pada mard-e-hazin dekhta kya hai ki bachcha bhuk se hai be-qarar jaise koi mar kha ke bhagne wala shikar god mein bithla ke man samjha rahi hai pyar se aate hi honge tere abba abhi bazar se us se ye iflas ka manzar na dekha ja saka be-tahasha chikh mari sar patak kar mar gaya ek sannata zamin se aasman tak chha gaya waqt ke mathe pe halka sa pasina aa gaya haif ai arz-e-muqaddas madar-e-hindostan tere bachche aur yun ho jaen benam-o-nishan